Article 30 Meaning in Hindi
12 से 35 तक के सभी अनुच्छेद भारतीय संविधान के भाग 3 “मूलभूत अधिकार” का हिस्सा हैं। इसलिए अनुच्छेद 30 भी मूलभूत अधिकारों के दायरे में आता है। अनुच्छेद 30 का शीर्षक है (शिक्षा संस्थाओं की स्थापना और प्रशासन करने का अल्पसंख्यक-वर्गों का अधिकार)
अनुच्छेद 30 दो खंडों से मिलकर बना है इस अनुच्छेद का खंड (1) कहता है :
(1) धर्म या भाषा पर आधारित सभी अल्पसंख्यक-वर्गों को अपनी रुचि की शिक्षा संस्थाओं की स्थापना और प्रशासन का अधिकार होगा।
इसके बाद इस अनुच्छेद का (1क) कहता है :
[(1क) खंड (1) में निर्दिष्ट किसी अल्पसंख्यक-वर्ग द्वारा स्थापित और प्रशासित शिक्षा संस्था की संपत्ति के अनिवार्य अर्जन के लिए उपबंध करने वाली विधि बनाते समय, राज्य यह सुनिश्चित करेगा कि ऐसी संपत्ति के अर्जन के लिए ऐसी विधि द्वारा नियत या उसके अधीन अवधारित रकम इतनी हो कि उस खंड के अधीन प्रत्याभूत अधिकार निर्बन्धित या निराकृत न हो जाए।]
इसके बाद अनुच्छेद 30 का खण्ड (2) कहता है :
शिक्षा संस्थाओं को सहायता देने में राज्य किसी शिक्षा संस्था के विरुद्ध इस आधार पर विभेद नहीं करेगा कि वह धर्म या भाषा पर आधारित किसी अल्पसंख्यक-वर्ग के प्रबंध में है।
इस अनुच्छेद की लिखित सरंचना में स्पष्ट है कि यह अनुच्छेद समानता को ध्यान में रखते हुए अल्पसंख्यकों के अधिकारों की रक्षा करता है।
साथ ही धर्म और भाषा के आधार पर सभी अल्पसंख्यकों को अपनी संस्कृति के अनुसार शिक्षा संस्था स्थापित करने व उनका स्वतंत्र रूप से प्रबंधन करने का संवैधानिक अधिकार भी देता है और किसी संस्था का सरकार द्वारा अधिग्रहण किए जाने के मामले में अल्पसंख्यकों के अधिकारों को नाममात्र भी हानि न पहुँचाने की बात स्पष्ट करता है।
इसके अलावा अनुच्छेद 30 यह भी सुनिश्चित करता है कि शैक्षणिक संस्थाओं को मिलने वाली सरकारी सहायता में धर्म के आधार पर कोई भेदभाव न हो सके।
यद्द्पि उपरोक्त सभी तथ्य अनुच्छेद 30 के पक्ष में जाते हैं लेकिन ये ही तथ्य इसके विरोध का कारण भी हैं।
दरअसल अनुच्छेद 30 से मिली स्वतंत्रता के आधार पर अल्पसंख्यकों द्वारा स्थापित की गई शैक्षिण संस्था पिछड़े वर्गों को आरक्षण देने हेतु बाध्य नही हैं जो कि पिछड़े वर्गों के अधिकारों का हनन है।
और क्योंकि ये संस्थाएं सरकारी हस्तक्षेप से पूर्णतः स्वतंत्र हैं इसलिए इनके आंतरिक मामलों में होने वाले भ्र्ष्टाचार के मामले में सरकार को मूकदर्शक बनना पड़ता है।
इसके अलावा गैर-अल्पसंख्यक शिक्षा संस्थानों में (हिन्दू शैक्षणिक संस्थान) सरकार को हस्तक्षेप करने की छूट है लेकिन अल्पसंख्यकों के शिक्षा संस्थानों में वह हस्तक्षेप नही कर सकती। यह बिंदु गैर-अल्पसंख्यकों को शैक्षणिक क्षेत्र में मिलने वाले समान अधिकारों से वंचित करता है। यही कारण है कि अनुच्छेद 30 को समय-समय पर आलोचना व विरोध का सामना करना पड़ता है।
Article 30 Meaning in Romanized Hindi
12 se 35 tak ke sabhi anuchhed Bharatiya Samvidhan ke bhag 3 “Moolbhoot Adhikar” ka hissa hain. Isliye anuchhed 30 bhi Moolbhoot Adhikaron ke dayere mein aata hai. Anuchhed 30 ka sheershak hai (Shiksha sansthaon ki sthapana aur prashasan karne ka alpsankhyak-vargon ka adhikar)
Anuchhed 30 do khandon se milkar bana hai, is anuchhed ka khand (1) kehta hai:
(1) Dharm ya bhasha par aadharit sabhi alpsankhyak-vargon ko apni ruchi ki shiksha sansthaon ki sthapana aur prashasan ka adhikar hoga.
Iske baad is anuchhed ka (1k) kehta hai:
[(1k) Khand (1) mein nirdisht kisi alpsankhyak-varg dwara sthapit aur prashasit shiksha sanstha ki sampatti ke anivary arjan ke liye upabandh karne vali vidhi banate samay, rajya yah sunishchit karega ki aisi sampatti ke arjan ke liye aisi vidhi dwara niyat ya uske adhin avadharit rakam itni ho ki us khand ke adhin pratyabhoot adhikar nirbandhit ya niraakrit na ho jaye.]
Iske baad anuchhed 30 ka khand (2) kehta hai:
Shiksha sansthaon ko sahayata dene mein rajya kisi shiksha sanstha ke viruddh is adhar par vibhed nahin karega ki vah dharm ya bhasha par aadharit kisi alpsankhyak-varg ke prabandh mein hai.
Is anuchhed ki likhit saranchana mein spasht hai ki yeh anuchhed samanta ko dhyaan mein rakhate hue alpsankhyakon ke adhikaron ki raksha karata hai.
Saath hi dharm aur bhasha ke aadhar par sabhi alpsankhyakon ko apni sanskriti ke anusar shiksha sanstha sthapit karne aur unka svatantr roop se prabandhan karne ka sanghathanik adhikar bhi deta hai aur kisi sanstha ka sarkar dwara adhigrahan kiye jaane ke mamle mein alpsankhyakon ke adhikaron ko naammatr bhi haani na pahunchane ki baat spasht karata hai.
Iske alava anuchhed 30 yeh bhi sunishchit karata hai ki shikshanik sansthaon ko milne wali sarkari sahayata mein dharm ke adhar par koi bhedbhav na ho sake.
Yadapi uparokt sabhi tathy anuchhed 30 ke paksh mein jaate hain lekin ye hi tathy iske virodh ka karan bhi hain.
Darasal anuchhed 30 se mili swatantrata ke adhar par alpsankhyakon dwara sthapit ki gayi shikshan sanstha pichhade vargon ko aarakshan dene hetu badhy nahi hain jo ki pichhade vargon ke adhikaron ka hanan hain.
Aur kyonki ye sansthaen sarkari hastakshap se poornatah svatantr hain isliye inke antrik mamle mein hone wale bhrashtachaar ke mamle mein sarkar ko mukhdarshak banana padta hai.
Iske alava gair-alpsankhyak shiksha sansthanon mein (Hindu shikshanik sansthan) sarkar ko hastakshap karne ki chhoot hai lekin alpsankhyakon ke shiksha sansthanon mein vah hastakshap nahi kar sakti. Yah bindu gair-alpsankhyakon ko shikshanik kshetra mein milne vale saman adhikaron se vanchit karta hai. Yahi karan hai ki anuchhed 30 ko samay-samay par alochana va virodh ka samna karna padta hai.